Kya ye raatein aisi hi rahengi
Kya ye din bas yuhin beet jayenge
Ehsaas pe haq kya mera nahin
Mangne ka kya haq mera nahin

Ishq to humne unse zyaada hi kiya hian
 kya pyaar pe mera kuch haq  nahin
Main ye nahin kehti ko woh meri qadar nahin karta
Par me kuch usse zyaada ka haq mera nahin

Log kehte hain ki pyaar dene ka naam hain
Humne to apna sab de ke bhi dekh liya
Khud ko bhula ke unhe sab kuch de diya
Chota sa ek pyaar bhara jahan saja to liya
Par pyaar bhari raaton ne mujhse muh mod liya.

Kya zindagi bas jeene ka naam hain
Ae khuda tu rehem kar ek chota sa dil pyaar bhara usse de de
Ya phir maula karam kar is zindagi ko bol ki mujhse muh mod le. 

Comments

Popular posts from this blog